Paise kamane Ke Niyam

post1

Doston Jaisa ki Ham Jante Hain paise Hamari Jindagi ke liye bahut jaruri hai. Aisa Koi Bhi Insan Nahin Hai Jo yah kahe ki usko Paisa Nahin chahiye. Paise se aap apni life style Behtar banaa sakte hain. Ham Sab Jante Hain Ki paise se kharidi Gai chijen lifetime Hamara Sath Nahin Dene Wali Hai Lekin vah Jindagi ko Aasan banaa deti Hain.

Aapke pass Paisa hai to aap apni mushkilon ko thoda kam Jarur kar sakte hain. Mushkil to aaenge hi Lekin unhen kam karna, Kaise kam karna yeh Hamari responsibility hai. To niche Diye Gaye blog Mein Hum, Zindagi Mein Safal aur Paise kamane Ke Kuchh Niyam batane Ja Rahe Hain. Agar aap in niyamon ko apni Jindagi Mein follow Karenge to aapko Koi pareshani Nahin Hogi aur aapki Jindagi Badal Jayegi.

1. Focus on making money then saving money

Friends hum Sab Yahi Karte Hain ki jo bhi Hamari income hoti hai usse hum save karne mein jyada interest lete hain na ki hum aur Bhi income karne ke tarike badhane me. To iske liye pahla Niyam yahi hai ki aap saving Se Jyada paise kamane ke tarike per Dhyan den. Isliye log Apna Paisa jodna Shuru kar dete hain aur apne kaam ko badhane ki taraf Dhyan Nahin dete, Jabki aapko iska ulta karna chahiye aur Paisa save karne ki Bajaye Jyada se Jyada kamane ka sochna chahiye. Isliye mutual fund ya baki investment scheme Mein invest karna Achcha hai lekin lekin use per completely depend Hona Sahi Nahin Hai. Isliye paison ko badhane per Jyada focus Kariye. Agar aapko Apne Pasand ki chijen 60 ki Umar Mein Na Lekar 26 ki Umar Mein Hi leni hai to aapko Thodi mehnat to Karni Hogi.

2. Paisa Hi Paise Ko khinchta Hai yah mat sochiye

Friends Hamara sochana Yahi hota hai ki Jahan Paisa Hota Hai Vahi Paisa aata hai. Jabki aisa Nahin Hai agar aapko Paisa Kamana hai to Paise ke piche bhagane se Achcha hai apne aap ko Kabil Banane Ke Piche Bhage. Agar aapke pass talent hai to aap Kuchh Bhi kam kar sakte hain jisse aapko Paisa Milega hi. To aap apne aap ko is Kabil banaa Lo ki aap Paise Ke Piche Nahin Paisa Aapke Piche Aaye. Aur yah tabhi ho sakte hain Jab aap Kisi bhi chij ko Puri Lagan ke sath karo. Jaisa Kaha jata hai ki aapko wo Nahin Milta hai jo aap chahte ho balki wo Milta Hai Jiske aap layak ho. To apne aap ko layak Banane per focus karo aur mehnat karte raho.

3. Jyada sikhiye aur Jyada Payiye

Friends aaj kal time bahut advance ho gaya hai Aaj kam Samay Mein logon ko advance chijen mil rahi hai. Jaise ab aap is blog ko hi dekh Lijiye Jo Jankari Ham is blog mein de rahe hain iske liye aapko Kitni book padhani padh sakti Hain, Kitni research Karni pad sakti hai lekin aapko kafi knowledge is blog Mein Hi mil rahi hai. Kyunki aapne smart idea choose kiya. Aapko is group mein Di Gai Sabhi Jankari ko sirf padhne Se Hi Kam Nahin Banega balki aapko Apne Jivan Mein yah sab aapko follow bhi karna hoga aap utna hi samajh Sakoge Kaise kam hota hai chijen kaise kam Karte Hain so aap Jitna sikhoge utna hi aap Paisa kamaoge ya nahin hai ki aapko Paisa kamane ke liye Kuchh sikhana Nahin Padta vah Kabhi Gruh nahin kar payega iske liye aap Jyada Se Jyada sikhane per focus Kijiye Apna time Kuchh sikhane Mein invest kijiye.

4. Jitna jaldi ho sake utna jaldi start karo

Friends Zindagi Mein Safal To Ham Sab Hona chahte hain lekin Hamari Galti yah hoti hai ki Ham sochte Hain Ki Ham aaj se nahin cal se kam Karenge aur ham Sab Jante Hain Ki vah cal Kabhi Nahin Aata Hai so Agar aapko financial stable banna hai to aapko abhi Se Hi aapse Hi Kam karna hoga mehnat Karni Hogi aapka koi bhi idea ho aap use per kam karna start kar dijiye bacha ke mat rakho. Aapka jo bhi idea ho use per aap kam karna start karo Chahe vah Idea Kuchh Bhi ho. Ho sakta hai aap pahli baar mein fail Hue ab dusri ya tisri baari fail ho jaaye lekin isse aapko yah sikhane Ko Mila ki aapko ismein kya karna chahie tha aur kya nahin karna chahie tha. Aise mein Kuchh Na sikhne se Kuch sikhna achcha hi hai.ye aapke Kuch Na Kuch to kaam aaega hi. Isliye Jyada Se Jyada aap apne Idea per kam karo aur apne carrier per focus karo.

5. Apne paison ka track rakho

Friends in sab se kuch farak nahi padta ki aap ek student ho ya aap job karte ho ya aap ek Businessman Ho. Yeh 1 Rule hai jo aapko Hamesha follow karna chahie Apne paison Ko track karna. Apne budget ka hisab Rakhna aap kis jagah per Kitna Paisa kharch karte ho kitna bachate Ho. Agar aap ek acchi Life Jeene Ki soch rahe hain to aapko aapke Lifestyle acchi Karni hi Hogi, lekin aapko yah Hamesha Dhyan Rakhna chahie ki aapke paise Kisi Bhi fijul ki chijon Mein kharch Na Ho. Aap apne paison Ko Kisi jaruratmand chij Mein hi ya aap apne kaam ko Behtar banane ke liye hi Kuchh chijon Mein invest Karen. Fijul Mein paise kharch na Karen. Jo chijen aapke carrier Mein help Karen aap uspe acche se Paisa kharch kariye Jo chijen sirf Naam Ke Liye Hai Un per Paisa kharch karna ek bevkufi hi Hogi.

6. Rich hone Tak Garib hi bane rahiye

Friends yah Galti Ham Sab Karte Hain Ki Jaise hi hamare pass Paisa aata hai Ham use kharch karne Lagte Hain. Agar Hamari job Lagti Hai to first salary se Hum mobile Lenge ya Hum party Karenge ya hum Bina jarurat ki chij per kharch Karenge. Agar aap Kuchh bada karna chahte hain to Apne paison Ko Sahi Jagah per hi kharch Karen. Paison ko Jyada invest Karen jisse Ki long term mein aapko vah Kuch profit karke de. Aap job sirf isliye mat Kariye ki aapko kharch karna hai aap job iske liye Kariye ki Aage chalkar aapko is se behtar job Kisi Aur Ko dena hai. Agar aap Bada Sochenge tabhi aap Kuchh Bada kar Payenge.

7. Focus Kare aur consistent Bane Rahe

Friends Aapne Kafi Kuchh Sikh to liya hai lekin yah depend karta hai ki aap kitne focused hai aur kitne consistence hai spne kam ko Lekar. Kyunki yahi donon chij hai jo aapko aapke Idea per kam karvayenge Chahe aap Kitne Bhi Bade Kyon Na Ban Na Paye lekin Agar aapka focus hat Gaya to aap kabhi Apne Idea per Kam Nahin kar Payenge. Iske liye Apne kam per Jyada Se Jyada focus Kare aur use per consistency Banakar rakhen.

Friends yah the Kuch paise banane ke Niyam hai. Aapko upar wala blog kaisa laga yah aap Hamen comment Karke Jarur bataen jisse ki Ham aapko Behtar ideas De Paye.

Apne ideas hamare sath share jarur karen.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.