Loan Lena Chahte Hain to check Karen Apna cibil score

post1

Agar aap loan Lena Chahte Hain To aap check Karen Apna civil score. Aajkal jyadatar log apni jaruraton ko pura karne ke liye personal loan Ka Sahara lete hi hai. lekin aapko personal loan Milega ya nahin Milega yah aapke cibil score per Kafi had tak nirbhar rahata hai. Agar aapka cibil score Achcha hai to Aapka loan approve hone ka chance jyada hai. Agar aapko kam interest rate per loan chahie to Ek acche civil score ki jarurat hai.

Achcha cibil score Kitna hona chahiye?

Pahle to hum aapko bata de Ki Cibil score 300 se 900 points ke bich hi hota hai. Agar aapka civil score 750 point ya usse jyada hai tab aapko loan Milana Kafi had Tak Aasan ho jata hai. Jitna Achcha aapka civil score Hoga utna hi aapko aasani se loan mil jayega. cibil score 24 mahine ki credit histry ke hisab se hi banta hai. Information buero India Limited Bharat mein cibil score Dene Wali Akeli ek agency hai.

Aap apna cibil score Kaise pata kar sakte hain?

1. Sabse pahle aapko cibil ki website www.cibil.com per jana hai.

2. Websitet ke home page per Get your free cibil score per click Karen.

3. Ismein apna naam, email id dalen aur ek password create Karen. Iske baad aapko koi ID proof Jaise passport number, PAN card number, Aadhar card ya voter ID number aapko choose karna hoga. Fir aapko aapka pin code, date of birth aur phone number dalna hoga.

4. Yah sab Jankari dene ke bad accept and continue per click karna hoga.

5. Iske baad aapke phone per 1 One Time Password yani OTP aayega vah aapko site per Diye Gaye place per dalna Hoga aur continue per click karna hoga.

6. Aapka registration Safal Hua yah message aapko receive Hoga aur fir website ke dashboard per jayen.

7. Aapka cibil score aapke Samne hai. Website per Aane Wale pop ups per aap click na Karen yah Dhyan rakhen ki yah misguide bhi kar sakte hain.

Aapka cibil score kis baat par nirbhar karta hai?

Aapke cibil score ka 30% is baat per nirbhar karta hai ki aap Waqt per loan chuka rahe hain ya nahin. Agar aapne koi loan liya hai to aap uska interest time per hi pay kar rahe hain ya nahin iska bhi civil score per Kafi Fark padta hai. Baki ka 25% secure ya unsecured loan per nirbhar karta hai aur 25% credit exposure per aur 20% karj ki istemal per.

CIBIL score kin karnon se kharab Hota Hai?

Agar aapane bank se loan Le rakha hai aur uska bhugtan aap Samay per Nahin Karte Hain To iska Asar aapke credit card per aayega. Agar aap time per repay nahin kar rahe hain loan ko to Aapka credit score niche ho jaega.

Agar aapke pass Credit Card hai aur aap uska Bil Samay per Jama Nahin Karte Hain To iska bhi negative Asar aapke credit score per padega. To Dhyan rakhen ki aap apna credit card ka Bil Samay per bhar de.

Agar aapke account mein minimum balance nahi hai ya aap use minimum balance maintain nahin kar rahe hain aur aapka minus mein balance hai to bhi aapka credit score kharab Hota Hai.

Dhyan Rahe ki aapko aapka credit score Achcha rakhne ke liye Upar Di Gai Sabhi Baton ko Dhyan Mein Rakhna hai jisse ki aapko Sab Samay per loan mil sake aur bade amount ka loan mil sake. Agar aapka credit score Achcha hai to aapko kam interest rate per bhi loan mil jaeyega.

Aapke pass aur bhi information ho to share jarur karen.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.

*