Sabse Sasta Home Loan kaun sa hai? | सबसे सस्ता होम लोन कौन सा है?

post1

Home Loan aaj ke samay me kaafi logon ki zarurat hai. Har kisi ke paas itni jyada savings nahi hoti ki wo khud se ghar le le. Bina loan ke bahut kam log aaj kal ghar le paate hain. Isliye home loan ki demand bahut badh gayi hai. Home loan dene wale bohut sare bank hain lekin sabse sasta home loan dene wale kuch hi bank hain. Niche maine bata diya hai ke kaunse bank sabse sasata home loan de rahe hain.

Sabse sasta home loan 2022 me de rahe hain ye bank. Lekin inme bhi aapke hisab se sasta kaunsa hai wo aapki zarurat batayegi. Kisi me byaaj yaani ke home loan interest kam hai toh kisi me home loan processing fees kam hai. Main niche saare option bata raha hoon aap dekh lo aapko kaunsa sahi lag raha hai aapke liye.

Home Loan Interest Rate

Sabse kam byaaj dar pe loan dene wale bank hain Punjab National Bank home loan (6.50%), IDFC First Bank Home loan (6.50%) aur Bank of Baroda home loan (6.50%). Yeh toh ho gayi baat sabse kam home loan interest rate ki. Ab baat karte hain processing fees ki jo ki kuch bank jyada lete hain aur kuch kam toh hum wo banks batayenge jo kam lete hain Home loan processing fees.

Home Loan Processing Fee

State bank of India (0% to 0.35% processing fee), Union Bank of India (No processing fee), Punjab and Sind Bank (full waiver), Karur Vysya Bank (Rs. 5000), Saraswat bank Home loan (nil), Karnataka bank (Rs.250), Sundaram Home Finance (Rs. 3000 for salaried), DHFL Housing Finance (Rs. 2500), Hudco Home Loan (NA), Shriram Housing (NA) and HDFC Ltd (Rs.3000- Rs. 5000 plus taxes).

Toh ab aapko samajh aa gaya hoga ke sabse sasta home loan kaun de raha hai aur kiski kitni home loan processing fees hai. Ummid hai aapko apke sapno ka ghar jaldi hi mil jayega aapke budget me.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*