YouTube se paise kaise kamaye?

post1

YouTube se paise kaise kamaye: Aaj ke modern samay mein log internet per sabse jyada video dekhna pasand karte Hain aur isiliye YouTube bhi aaj itna ek famous online platform ban gaya hai.

Aap YouTube se entertainment bhi kar sakte hain aur jisko knowledge chahiye wo free mein video dekhkar apna knowledge bhi badha sakte hain. YouTube per aap koi bhi category search karenge to usmein aapko bahut sare video mil jayenge.

YouTube per video upload karne wale log ek mahine mein lakhon rupaye tak ki kamai kar lete hain. Agar aapko bhi Janna hai ki YouTube se kaise paise kamaye jaate Hain to hamare is artical ko end Tak jarur padhen.

YouTube se aap lakhon rupaye tak ki kamai kaise kar sakte hain ine sab methods ko ham is artical mein discuss karne Wale Hain. YouTube se aap accha Paisa Kama sakte hain lekin aapko mehnat to karni hi hogi uske sath aapko patience bhi rakhna hoga.

YouTube videos ke sath sath YouTube shorts se bhi paise banaye jaate Hain. So Bina time Waste kiye hue sabse pahle jante Hain ki YouTube hai kya?

YouTube kya hota hai?

YouTube ek online platform hota hai Jahan per aap video share kar sakte hain. YouTube per aap kisi bhi type ke videos upload kar sakte hain.

Youtube bilkul free platform hai Jahan per aapko na to videos upload karne ke liye paise dene hote hain aur na hi videos dekhne ke liye.

YouTube per user or creator donon party ko benefit milta hai. Ek taraf creater video banakar paise kamate hain aur dusri taraf users free mein YouTube video se knowledge gain kar sakte hain.

YouTube Google ke dwara provide ki Hui ek service hai. YouTube per channel banane ke liye aapka sirf ek Gmail ID hona chahiye.

YouTube per aap apna channel start kar sakte hain aur jis bhi category mein aapko accha knowledge hai aap share karke duniya Tak apna knowledge pahuncha sakte hain. YouTube per aap apne Naam ke sath paise bhi Kama sakte hain.

Jaruri chijen YouTube se paise kamane ke liye

Friends agar aapko YouTube se Paisa kamana hai to aapko niche Di gai Hui chijon ki jarurat padegi.

# sabse pahle to aapke pass Gmail ID honi chahiye.

# Aapko ek acche internet connection ki jarurat padegi jo ki aaj ke time per sabke pass hota hi hai.

# video record or edit karne ke liye aapke pass smartphone ya ek computer bhi hona chahiye.

# aapko video record karne ke sath edit karna bhi aana chahiye.

# Agar aapko video edit nahi karna aata hai to aap YouTube se Sikh bhi sakte hain.

Steps jo aapko YouTube se paise kamane ke liye follow karne hain

Friends agar aap YouTube se kamai karne ki soch rahe hain to niche diye gaye hue sabhi steps ko Dhyan se padhe aur unhen follow bhi Karen.

* sabse pahle Gmail ID ko use karke aap YouTube channel bana le.

* Apne channel ka logo aur banner banaye.

* channel ka description de aur bataen ki channel kiske bare mein hai.

* 1 niche select Karen aur usi se related hi video banaye.

* video acchi quality ka upload Karen video ki quality ke sath koi bhi compromise na Karen.

* video se related ek attractive thumbnail banaye.

* video upload karne ke sath uska title aur discription bhi likhen.

* videos me tags ka istemal Karen aur video regular basis per upload Karen.

* kabhi bhi copyright video ka use Apne channel per na Karen.

* Jab aap apne channel ko monetize karne ke liye ready kar le tabhi monetize Karen aur YouTube video se paise kamaye.

YouTube se free mein paise kaise kamaye?

Jab aap apna YouTube channel bana lete hain to aapka next step hota hai channel ko monetize karna aur paise kamana. YouTube se paise kamane ke liye aapko regularly videos post karna hoga.

Jitna easy hum sochte Hain YouTube se paise kamana yah utna bhi easy nahin hai. YouTube se paise kamane ke liye aapko patience rakhna bhi bahut jaruri hota hai.

Aise to YouTube se paise kamane ke liye bahut sare option hai lekin bhi hum kuch important methods is article mein share kar rahe hain.

1. Affiliate marketing se paise kamaye

Ham bahut sare aise videos dekhte Hain jismein ham logon Ko kahte hue sunte Hain ki link discription mein Diya hua hai. Agar aap is link per click karke koi product purchase karte Hain to iska kuch commission YouTuber Ko milta hai. Aur ise hi affiliate marketing kahate Hain.

Agar aap apni niche se related YouTube per video banaa rahe hain aur us product ka link aapke discription mein share kar rahe hain aur koi user agar aapke diye hue link per click karke product purchase karta hai to aapko iske liye commission milega.

Affiliate marketing YouTube se paise kamane ka ek Aisa Tarika hai jismein aap Google adsen se bhi jyada paise Kama sakte hain. Affiliate marketing ke liye aapko jyada traffic ki jarurat bhi nahin Hoti hai apne channel per.

2. Google AdSense se paise kamaye

Google AdSense se YouTube pe paise kamane ka bahut hi popular method hai. Google AdSense dwara YouTube per lakhon rupaye mahine ke Kama rahe hain. Jab aap koi video dekhte hain to usmein sabse pahle aapko ads dikhai dete Hain yah ads Google AdSense hi dikhata hai.

Google AdSense sabse bada ad network hai jo YouTuber ho ya blogger unko Apne channel ya website per ads dikhane ki permission deta hai.

Agar aapko YouTube per adsen se paise kamane Hain to aapko YouTube policy ke hisab se hi videos banane honge. Jab aapke YouTube channel per 1000 subscriber aur 4000 watch time pura ho jaega uske baad hi aap apne channel ko monetize karke Google AdSense se paise Kama sakte hain.

3. Apne products sell kar ke YouTube se paise kamaye

Agar aapane koi dusra business start Kiya hua hai, aap koi product sell karte hain to wo bhi aap apne YouTube channel per sell kar sakte hain.

YouTube per log aapko aapke face se jante hain aur agar aap achcha content bhi YouTube video per dalte Hain to logon ka trust aapke upar build hota hai. Iske bad agar aap apne product ka promotion karte Hain to definitely aapki sale increase hogi.

Aur is tarah aap apne products bhi aapke YouTube channel per sell karke paise Kama sakte hain.

4. Sponsorship lekar YouTube se paise kamaye

Jab aapke channel per subscriber badh jaate Hain aur aapki videos ko jyada like comment aur share milte Hain to bahut si aisi companies bhi hai jo Apne products ko aapko promote karne ke liye bolenge.

Jab aap use company ke products ko Apne video per promote karte Hain to iske liye aapko company ek achcha khasa amount pay karti hai. Isko hi sponsorship kaha jata hai.

Jin YouTube uske subscriber bahut jyada hote hain vah ek product ko promote karne ke liye lakhon rupaye charge karte hain.

5. Apne YouTube channel per service bechkar paise kamaye

Jo bhi skill aapki hai uske baare me apne Youtube channel par batayen aur uss service ke liye charge kare.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*