Insider trading kya hai? What is insider trading?

post1

Aaj log share market me bohot hi jayada active ho rahe hai. Iska ek reason online trading bhi hai. Pahle online trading ka option nhi hota tha to kuch hi log isme interest lete the. To aaj hum share market me use hone wala ek word “insider trading” ke bare me jante hai. Insider trading me kaun kaun involve rahta hai, aur ye log karte kya hai? Insider trading kya hai?

Insider trading ke liye hamara law kya karta hai?

Insider trading kya hai?

Company ke ander ki jaruri aur gopniya information ko kisi bahar ke logon tak pahunchane ko insider trading kahte hai. Company ki secret information ko use kar ke uske share price ko uper ya niche le ja sakte hai.

insider trading me kaun involve rahta hai?

Isme promoter aur share investor ya company ka koi important person aapas me mil jate hai. Insider trading me ya to investor hota hai ya jise share market ki acchi knowledge ho aur wo share market ko acche se janta ho. Wo company ki secret information jaise company aage kya karne jaa rhi hai, company ki business planning, company kahan se fund raise karne wali hai, company ki financial condition kaisi hai, kya company kisi aur ke sath koi agreement karne wali hai, company ke pass fund raise karne ke kya kya tarike hai ye sab information company ke kisi director ya promoter se pata kar leta hai aur systematic tarike se company ke share kharidne lagta hai.

Jaise ki wo systematic tarike se share kharidne lagta hai to uski taraf kisi ka dhyan bhi nhi jata hai. Aur ye sab tab tak chalta rahta hai jab tak company ke share 1 target ko hit na karde. Target hit karne ke baad ye log shares bechna shuru kar dete hai.

Insider trading ke liye hamara law kya karta hai?

Agar insider trading ki baat Karen to Europe aur America me to iska bohot strict law banaya hua hai. Aur wahin hamare country me law to hai but itna strict nhi hai. Aur iska procedure tbhi thoda lamba hai. SEBI iske against action to leti hai aur insider trading walon ko ban bhi kar deti hai hain aur fine bhi lagati hai. Aur kisi ko to invest kar se bhi rok laga deti hai.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*