Smart phone me Karen aise setting agar phone kho gya hai to mil jayega aur aapka data bhi safe rahega

post1

Aaj ke time pe phone hamari zindagi ka ahem hissa ban gya hai. Aise me agar phone kho jaye to hamen badi problems ka samna karna pad jata hai. Iske liye aapko aapke phone ki settings aise karni chahiye jis se agar phone kho bhi jaye to aap ise search kar saken aur aapka data bhi aapko wapis mil jaye. To aao jante hai phone me kuch aisi settings ke bare me jis se hamen jayada pareshani nhi hogi phone ko search karne me aur data restore karne me. To aao jante hai iske details.

Hamare ya hamare kisi Jan pahchan wale ke phone kho Jane ki khabar hum sunte rahte hai. Aur phone kisi ka bhi kahin bhi kho sakta hai. Aaj ke time pe phone hamare jeevan ka aham hissa ban gya hai. Aur ise kharidne ke liye hum acche paise bhi kharach karte hai. Isme hamara kafi Sara data bhi store kiya hua rahta hai. To phone ki un settings ke bare me jante hai jis se humara data aur phone dono bhi Bach saken.

Find my device on karen

Find my device ka option aaj ke sab smart phones me aapko milega. Agar aap ye option on rakhte hai to aapko aapka phone search karne me help milegi. Aur sirf phone search karne me hi nhi aap apna data bhi Mita sakte hai jis se ki aapka personal data kisi aur ke hath nhi lagega.

Lockscreen ko change karen

Sabse pahle lockscreen par notification drawer ko off Karen. Agar lockscreen par ye setting on hai to jis ke b hath aapka mobile laga hai wo aapka data aur wifi band kar dega chahe aapka phone lock hi kyun na ho.

Cloud storage se data recover karen

Aap apne phone ka data cloud storage me save rakhen jis se ki agar aapka phone kho jaye to aap is se data recover kar saken. Cloud storage pe save Kiya hua data kabhi delete nhi hota hai aur ye process jayada kathin bhi nhi hoti hai.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*