Purane phone ke badle jio de raha hai Naya phone, aayiye batate hai aapko is deal ke bare me…

post1

Company ne jiophone next ko affordable smartphone ke category me launch Kiya hai. Aur to company is phone ko kharidne ke liye exchange offer de rahi hai aur financing Bhi kar rahi hai. To aayiye jante hai is puri deal ke bare me…

Jiophone next par offer

Purane smartphone se kar sakte hain exchange

Financing help bhi ho rahi hai provide

Agar aap Naya phone lene ki soch rahe hai to jio aapke liye 1 accha aur kifayti offer le ke aaya hai. Company ki taraf se jionext ka ek offer launch Kiya hai jo ki limited period ke liye aaya hai. Isme company aapko exchange offer provide kar rahi hai. Exchange offer me aap koi purana phone de ke latest smartphone le sakte hain. Aur ise aap kafi Kam price pe le sakte hain. To aayiye pata karte hai ye deal kya hai…

Purana phone de ke le sakte hain naya smart phone

Agar aapke paas koi purana smartphone, feature phone ya koi bhi smartphone jo kaam kar raha hai to aap purane phone ko exchange kar ke jiophone next le sakte hain. Agar aap exchange kar ke jiophone next lenge to aapko Kam price pe jiophone next mil sakta hai. Bina exchange ke aapko jiophone next 6,499 rs ka milega.

Financing help bhi ho rahi hai provide

Financing offer me aapko 2500 rs Dene honge jisme 501 rs ki processing fee bhi included hai. Baki ka amount aap apne hisab se koi bhi plan choose kar ke pay kar sakte hain. Matlab ye phone aapko financing offer, exchange offer aur complete amount pe bhi mil raha hai.

Jiophone next ke features

Jio ka ye 4G smartphone 5.45 inch ke multi touch + HD display ke sath milega jiski safety ke liye Corning Gorilla glass 3 diya hua hai. Isme dual sim bhi milta hai. Iski battery 35000 mAh hai jo ki kafi powerful hai. Iska rear camera 13MP ka hai. Front came 8MP ka hai jo ki selfie camera hai. Iska operating system bharat me develop Kiya gaya hai aur logo ko dhayan me rakh kar Iska operating system banaya gaya hai. Ye smartphone qualcomm snapdragon 215 processor per kaam karta hai. Iska Ram 2GB hai aur storage 32Gb hai. Iske storage ko aap micro sd card ke help se 512 GB tak expand kar sakte hain.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*