Vivo ne bharat me Vivo Y01 smartphone launch Kiya hai. Is se pahle Vivo ne yeh phone Africa me launch Kiya tha. Bharat me iski kimat 8999 rs ke sath launch Kiya hai jo ki kafi budget me hai. Vivo Y01 me 6.51 ka display, 5000 mAh ki battery ke sath 8MP ka camera diya hai. To aayi jante hai Vivo Y01 ke smart features ke bare me…
Vivo Y01 ke specifications
Vivo Y01 battery
Vivo Y01 camera
Vivo Y01 ke Other Features
Vivo Y01 ke specifications
Vivo Y01 ka weight 178 gram hai, isme ek rectangular camera bump ke sath flat back panel hai jo 8.29mm mapta hai. Aur ye phone 3.55mm audio jack ke sath side mounted finger print ke sath sath hai. Isme aage ki taraf water drop notch ke sath flat screen hai. Isme 6.51 inch ka hd + (1600*720 pixel) IPS LCD display hai jisme 60 heartz refresh rate hai.
Vivo Y01 battery
Vivo Y01 me 2GB RAM aur 32GB storage ke sath sath MediaTek Helio P35 SoC hai. Iske dedicated micro sd card ke slot ki help se iski storage 1TB tak increase kar sakte hai. Smartphone me 5000mAh ki powerfull battery hai jisme 10W fast charging support hai.
Vivo Y01 camera
Isme optics ke bare me kahe to Vivo Y01 me f/2.0 aperture wala 8 megapixel wala single rear camera diya hai. Aur phone ke aage ke side me 5 megapixel ka camera diya hai jisme f/2.2 aperture hai. Rear camera face beauty aur time lapse jaise aur bhi kafi features provide karta hai.
Vivo Y01 ke Other Features
Vivo Y01 Android 11 go addition per based funtouch OAS 11.1 ko out of box boot karta hai. Ye phone dual sim support aur 4G connectivity ke sath sath bluetooth v5.0, wifi 2.4GHz/5GHz provide karta hai. Ye phone 2 colours India elegant blue aur saifier blue me uplabdh hai. Ye phone aapko Vivo ki authentic site and retail store se bhi mil jayega.
Leave a Reply