Investment kya hai? Investment kahan kar sakte hain?

post1

So guys aaj hum janenge ki investment kya hai? Investment word hum apni daily routine life me sunte hi rahte hai. Lekin kya hamen ye pata hai ki investment kahte kise hain aur karte kaise hain?

Aaj is article me hum investment ke bare me baat karenge. Hum investment karte hain jisse ki humara future secure rahe. To chaliye jante hain investment hai kya?

Investment kise kahte hain?

Investment ki baat karen to investment matlab aapka Paisa koi aisi jagah ya aisi cheej mein lagana Jo future mein jakar aapko aur paise banakar de. Present mein paise lagakar future mein paise provide kare usko investment kahte hain. Aaj ke jode hue paiso par aage chal ke kuch byaaj mil jaye ya kuch munafa ho jaye usko investment kehte hain.

Investment kahan kahan kar sakte hain?

Waise to investment karne ke bahut sare option hain lekin Aaj ham aapko aise saat options ke bare mein bataenge jinmen aap investment kar sakte hain. Yani ki nivesh kar sakte hain. Nivesh har kisi ko karna chahie kyunki usse aapka bhavishya surakshit ho jata hai. Jaruri nahin hai ki har investment mein aapko achcha return mile lekin aapko investment karte rehana chahiye.

1. Crypto currencies

Sabse pahla aur sabse naya investment option hai cripto currency. Ab bahut sare log kahenge ki criptocurrency sabse sasta investment option to nahin aur main kahunga ki yah sabse sasta investment option hai. Kyunki jaruri nahin hai ki aap sab Bitcoin hi le. Bitcoin mehnga hai lekin dusre bahut sare aise currency Hain Jo kafi saste Hain. Jo ₹1 mein 50 coin bhi a jaate Hain 25 coin bhi a jaate Hain ya ₹10 mein 5 coin aate Hain. Aise bahut sare criptocurrency hai to aapko aise option bhi sochne chahie. Yahi nahi balki Bitcoin ki kimat bahut jyada hai aur jyada mehnge mein jaenge to wahan risk bhi kafi jyada hota hai. To apni thodi si amount crypto currency mein bhi lagakar chhod dijiye. Aur vaise bhi ek Insan investment Karta hai kam se kam 5-10 sal ke liye. Agar aapke hajar rupaye Kai lakh ban jaate Hain To usmein aapka fayda hi hai. Iss liye cryptocurrency sabse pehla investment option hai invest karne ke liye. Crypto me investment karne ke liye alag alag exchange hai jaise ki zebpay, coinswitch Kuber, Wazirx aur aise bahut sare options Hain.

2. Share market

Dusra option investment ka hai share market friends pahle ke Samay mein kisi ko bhi share market Mein invest karna bahut hi difficult Hota tha. lekin aaj ke Samay Mein share market Mein Apna Paisa invest karna bahut hi jyada Aasan ho gaya hai. Share market mein aap apne paison ko invest Karke karodon rupaye bhi Kama sakte hain lekin share market Mein invest karna thoda risky hota hai, ISI reason se ismein return bhi utna hi jyada Milta Hai To aapko share market Mein invest karne se pahle companies ka Achcha knowledge Hona bahut jaruri hai iske liye aapko thoda company per research karna, padega Uske bad hi apko decision Lena padega ki aapko kis company mein investment karna hai.

3. Mutual fund

Teesra sabse Achcha investment ka option hai Mutual Fund. Mutual fund mein company ki management team Hoti Hai wo team aapke paise ko different stocks mein invest karti hai aur yah bahut hi calculated risk hota hai jisse ki aapko loss Nahin ho. Mutual fund mein aapko bahut Achcha return Mil Jata hai. Agar aapko stock market Mein invest nahin karna hai aapko Itna risk Nahin lena hai to mutual fund mein aap invest kar sakte hain. Aur haan ismein aapko compounding interest bhi sath mein Milta Hai jisse Ki Aapka Paisa badhta hi hai.

4. PPF

PPF Ek bahut hi safe Tarika Hai investment ke liye aur ismein aapko high return se Milta hai. PPF Lambe Samay ke liye Kiya jata hai (15 years) yah government dwara chalai gai scheme hai jisse aapko loss hone ka Khatra bhi nahin hota hai. PPF Mein invest karne ke liye aap post office, government bank, aur private bank Kisi me bhi apna account open kar sakte hain aur PPF Mein invest kar sakte hain.

5. IPO

IPO ka matlab hota hai initial public offering. IPO Mein invest karna bhi investment ka Achcha Tarika hai. Company apne business ko Aage badhane ke liye ya Apne fund ko badhane ke liye IPO issue karti hai. Company share market Mein Apna IPO Lekar aati hai aur usmein public company ke share Kharid ke usmein invest karti hai. Future mein agar company Achcha perform karti hai aur uske share badhte hai to automatically aapka paisa bhi double ho jata hai.

6. Real estate

Real estate Mein invest karna Ek bahut hi Achcha option hai aapane kabhi bhi dekha Hoga property ke rate kabhi bhi niche Nahin Aate Hain. Isliye Agar aapke pass Ek Bada amount Hai invest karne ke liye to property Mein ya FIR real estate Mein invest karna bahut hi Achcha hai. Property Mein invest karne se pahle aapko use property ke bare mein Sab Pata Hona chahiye. Agar aapko safe lage to hi aap usme invest karen. Jahan aap invest karne wale hain uspe koi issue to nhi hai. Ye sab dekh hi aapko decision le hoga.

7. Investment in gold

Bharatiya sanskriti me gold ka apna hi importance hai. Gold me investment bhi bohot hi accha option hai. Aap physical gold kharid ke bhi invest kar sakte hai lekin isme agar aap future me sell karne jaoge to kuch amount deduct hota hi hai. Aap sovreign gold bonds me invest kar sakte hain. Isme aapko jo rate chal raha hoga utna hi amount aapko sell karne pe milega. Aap gold ETF me bhi invest kar sakte hai.

post2

About Guest Blogger 189 Articles
Pankaj Sharma is a blogger and Youtuber. He often writes and makes videos on Online Money Making ideas and also guide his followers about Stock Market investment. He is writing and making content from past 4-5 years and JaldiMoney is one of the place where he writes frequently.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*